Where is the sukoon guys

When you trap yourself leaving the only source of livelihood being selling your private sweet & sour moments, thanks to your janab's ultra jealous, regressive, selfish and lazy self, you end up like Dipika.

Many a times, she did try to diversify her income source, all falling flat for one reason or the other. I dont think she enjoys vlogging as she has more bitter moments in her life than the sweet ones. Par kya karein, ghar bhi chalana hai kyuki pati parmeshwar ko sofa todna hai din bhar. Roz naya content bhi kahan se laaye, na dhabba ki tarah maudaha ki baraat ka support hai. Ghoom firke bachche pe camera ghumana padta hai aur usme bhi 24 hours calculation ki kab kahan kitne cuts lagane padenge ki sab sukoon bhara dikhe. Kaam pe jao to bachcha saath leke jao, salon me kuch me-time ke liye jao to bachcha saath leke jao, kisi se milne jao to bachcha saath leke jao kyuki bestum best papa ko sofa se hilna pad jayega aur daadi ke khana thoosne me khalal padega.

Suitara to 10 jodi suit aur 10 paratho ke liye apne dono bachche bech de, pota to kya cheez hai. Din me ek baar torai ki sabzi banati hai aur kheera kaat leti hai pati ke liye usi me din bhar ki mazduri ho jati hai. Dada ko kisi se koi pyaar nahi hai TV ke alawa. Na apne bachcho ki khoj khabar aur pote ka naam bhi yaad hoga iski bhi koi guarantee nahi. Papa ko 16 saal ki ladki banna hai korean filter laga laga ke, baal jhatakne aur photo khichane se fursat mile to kuch kaam dhandha dhunde. Upar se biwi ko kabhi bhoole bhatke kaam mil jata hai to inke phoolon jese badan me aag lag jati hai.

Nani aur dharam dada ke dam pe duniya chal rahi hai warna kabki blue polythene me pack hoke DKI ke godown me hamesha ke liye band ho jati.